song

Type: Movie Song
Genre: Romance, , Title Song
Music: Jeet Ganguly
Lyrics: Rashmi Virag
Duration: 06:38

Lyrics

paas aaye, dooriyaan phir bhi kam na hui
ek adhuri si hamari kahani rahi
aasmaan ko zameen ye zaroori nahi jaan le jaan le
ishq saccha wahi jisko milti nahi manzile manzile
rang thhe, noor tha jab kareeb tu tha
ek jannat sa tha yeh jahaan
waqt ki ret pe kuch mere naam sa
likh ke chhod gaya tu kahaan

hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani
hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani

khushbuon se teri yunhi takra gaye
chalte chalte dekho na hum kahaan aa gaye
jannatein agar yahin, tu dikhe kyon nahin
chaand suraj sabhi hai yahaan
intezar tera sadiyon se kar raha
pyaasi baithi hai kab se yahaan
humari adhoori kahaani, humari adhoori kahaani
humari adhoori kahaani, humari adhoori kahaani

pyaas ka ye safar khatam ho jayega
kuch adhura sa jo tha poora ho jayega
jhuk gaya aasmaan, mill gaye do jahaan
har taraf hai milan ka samaa
doliya hain saji, khushbuein har kahin
padhne aaya khuda khud yahaan
hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani
hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani